dekhūñ to mire dil meñ utartā hai ziyāda
sho.ala ki tah-e-āb nikhartā hai ziyāda
kyā jāniye kyā baat hai ab dasht kī nisbat
dil ḳhāmushī-e-shahr se Dartā hai ziyāda
andar kā vahī rog use bhī hai mujhe bhī
bantā hai ziyāda vo sañvartā hai ziyāda
jo aañkh ke jalte hue sahrā se pare hai
bādal usī raste se guzartā hai ziyāda
ruḳh shahr kī jānib huā jañgal kī havā kā
aur shor mire dil meñ ubhartā hai ziyāda
'ja.afar' ye lagā zaḳhm-e-mohabbat bhī ajab hai
baḌhtā hai ziyāda jo na bhartā hai ziyāda