Jafar Shirazi

bijli kaDki baadal garja main KHamosh raha

Jafar Shirazi

bijlī kaḌkī bādal garjā maiñ ḳhāmosh rahā
is kohrām meñ bhī ai duniyā maiñ ḳhāmosh rahā
sub.h kī chaap ne mujh ko sadā dī maiñ ne baat na kī
shaam kī chup ne mujh ko pukārā maiñ ḳhāmosh rahā
kitne giit bikherte mausam mere sāmne aa.e
maiñ thā jaatī rut kā saayā maiñ ḳhāmosh rahā
guzre mere paas se ho kar shor bhare mele
sail-e-havādis tū ne dekhā maiñ ḳhāmosh rahā
kitne paanī sar se guzre merī zabāñ na khulī
sāhil sāhil dariyā dariyā maiñ ḳhāmosh rahā
'ja.afar' dekh ke ġham barsātī zindagiyoñ ke samay
biit ga.ī is dil par kyā kyā maiñ ḳhāmosh rahā
Top Urdushayar.com