Jafar Shirazi

aks ja-ba-ja apni zat ke giraata hai

Jafar Shirazi

aks jā-ba-jā apnī zaat ke girātā hai
kaun āsmānoñ se aa.ine girātā hai
maiñ ne ruup dhārā hai us kī ruuh kā aur vo
mere naqsh hī mere sāmne girātā hai
umr bhar uThā.egā dukh mire bikharne kā
aañkh kī bulandī se kyuuñ mujhe girātā hai
sho.ala-e-mohabbat aur āb-e-ashk ai nādāñ
raushnī ko dariyā meñ kis liye girātā hai
vo havā kā jhoñkā bhī merā saḳht dushman hai
shāḳh se jo patte ko zor se girātā hai
jazb kar na le 'ja.afar' soch lahr kī tujh ko
tū kahāñ samundar meñ kañkare girātā hai
Top Urdushayar.com