Jafar Shirazi

ji larazta hai umaDti hui tanhai se

Jafar Shirazi

jī laraztā hai umaDtī huī tanhā.ī se
ab nikālo mujhe us raat kī pahnā.ī se
aa.ī yādoñ kī havā ghulne lagā kaan meñ zahr
bujh ga.ī shaam bhī bajtī huī shahnā.ī se
pūchhtā phirtā huuñ galiyoñ ke ujaḌne kā sabab
har taraf jam.a haiñ kyā log tamāshā.ī se
sāmne phailā huā dasht kā sannāTā hai
ab kahāñ bach ke chaleñ ham dil-e-saudā.ī se
ban gayā ek qayāmat dar-e-dil tak aanā
aur guzarnā hai abhī dhyān kī añgnā.ī se
kis tarah apnā banā.eñ use ham ai 'ja.afar'
baat aage na baḌhī jis kī shanāsā.ī se
Top Urdushayar.com