Jafar Shirazi

suraj chhupa ek ik gul-e-manzar bikhar gaya

Jafar Shirazi

sūraj chhupā ik ik gul-e-manzar bikhar gayā
sho.ala sā koī dil meñ utar kar bikhar gayā
thā chāñdnī kā jism ki shīshe kā thā badan
aa.ī havā to gir ke zamīñ par bikhar gayā
kal hañs ke reg-e-dasht se kahtī thī zindagī
maiñ ne chhuā hī thā ki vo patthar bikhar gayā
naddī pe ek narm kiran ne rakhā jo paañv
chāroñ taraf sadā kā samundar bikhar gayā
'ja.afar' hamārā dil bhī hai vo aa.ina ki bas
khaa.ī zarā nigāh kī Thokar bikhar gayā
Top Urdushayar.com