arz-o-samā pe rañg thā kaisā utar gayā
āñdhī chalī to shaam kā chehra utar gayā
tūfāñ kī zad na shor-e-talātum mujhe batāo
maiñ mauj meñ nahīñ huuñ ki dariyā utar gayā
kyā kyā rahī kanār-e-mohabbat kī dhun mujhe
jin pāniyoñ meñ us ne utārā utar gayā
ik kashmakash meñ ab haiñ samundar paḌe hue
sahrā kī tah meñ phir koī pyāsā utar gayā
bikhrā paḌā hai ḳhaak pe yuuñ chāñdnī kā jism
jaise mirī hī ruuh meñ tesha utar gayā
'ja.afar' kabhī na ye mere vahm-o-gumāñ meñ thā
maiñ aur us ke dhyān se aisā utar gayā