Jafar Shirazi

raston mein Dher ho kar phul se paikar gire

Jafar Shirazi

rāstoñ meñ Dher ho kar phuul se paikar gire
barg kitne āñdhiyoñ ke paañv meñ aa kar gire
ai junūñ kī sā.ato aamad bahāroñ kī huī
dekhnā vo shāḳhchoñ se titliyoñ ke par gire
tum na sun paa.e sadā dil TūTne kī aur yahāñ
shor vo uTThā zamīñ par jis tarah ambar gire
kaun jaane kitnī yādoñ se huā dil zaḳhm zaḳhm
chāñdnī barsī ki merī ruuh par ḳhanjar gire
muntazir huuñ ġham ke is tūfān-e-abr-o-bād meñ
kab ghaTā kā shor kam ho kab havā thak kar gire
yuuñ huā huuñ jazb 'ja.afar' vaqt ke tūfān meñ
tah maiñ gahre pāniyoñ kī jis tarah kañkar gire
Top Urdushayar.com