din dahaktī dhuup ne mujh ko jalāyā der tak
raat tanhā.ī meñ kaalā abr barsā der tak
tū ye kahtā hai ki tū kal raat mere saath thā
maiñ ye kahtā huuñ ki maiñ ne tujh ko DhūñDā der tak
paas rakh kar ujle ujle duudh se yādoñ ke jism
der se baiThā huuñ meñ baiThā rahūñgā der tak
pahle terī chāhatoñ ke ġham the ab furqat ke dukh
mujh pe ab taarī rahegā ye bhī arsa der tak
kaun Thahre aane vaale mausamoñ ke sāmne
kaun ḳhālī rakh sake tāq-e-tamāshā der tak
ab vo bāteñ ab vo qisse kis tarah 'ja.afar' bhulā.eñ
aise sadmoñ kā asar dil par rahegā der tak