ba-sat.h-e-āb koī aks-e-nā-tavāñ na paḌā
havā guzar bhī ga.ī aur kahīñ nishāñ na paḌā
baḌe sukūn se dekhā hai jalte lamhoñ ko
hamārī aañkh meñ varna dhuāñ kahāñ na paḌā
kaThin bhī aisā na thā merī terī sulh kā kaam
koī bhī shaḳhs mire tere darmiyāñ na paḌā
hue haiñ ḳhaak ḳhamoshī ke dasht meñ kho kar
hamāre kaan meñ hī shor-kārvāñ na paḌā
balā kī dhuup hai 'ja.afar' kisī ko hosh nahīñ
paḌā hai abr kā saayā kahāñ kahāñ na paḌā