Jafar Shirazi

kahin faza mein koi abr tairna to chahiye

Jafar Shirazi

kahīñ fazā meñ koī abr tairnā to chāhiye
kahāñ havā.eñ kho ga.ī haiñ sochnā to chāhiye
ye aur baat baaġh baaġh kar ga.iiñ tabī.ateñ
zarā qarīb se hañsī ko dekhnā to chāhiye
ye maslahat bhī kyā ki dil kī vus.ateñ hoñ munjamid
ragoñ meñ zindagī kā ḳhuun dauḌnā to chāhiye
maiñ in udāsiyoñ ko in rafāqatoñ ko kyā karūñ
kiran ko jāgnā havā ko bolnā to chāhiye
unheñ bhī nok-e-sañg se zarā hilā ke dekh luuñ
ki pāniyoñ kā ye sukūt toḌnā to chāhiye
ye kyā huā baḌhā ke silsile mujhe bhulā diyā
kahīñ mile to 'ja.afar' us se pūchhnā to chāhiye
Top Urdushayar.com