Sarmad Sahbai

raushni rangon mein simTa hua dhoka hi na ho

Sarmad Sahbai

1945
raushnī rañgoñ meñ simTā huā dhokā hī na ho
maiñ jise jism samajhtā huuñ vo saayā hī na ho
ā.īna TuuT gayā chuntā huuñ reza reza
isī ā.īne meñ merā kahīñ chehrā hī na ho
maiñ to dīvār ke is paar ravāñ huuñ kab se
koī dīvār ke us paar bhī chaltā hī na ho
vo jo suntā hai mirī baat baḌe ġhaur ke saath
baad jaane ke mire mujh pe vo hañstā hī na ho
jāgtī āñkhoñ meñ kyuuñ phailtā jaatā hai ḳhalā
khā ga.ī hai jise duurī tirā rasta hī na ho
moḌ har raah pe paañv se lipaT jaate haiñ
vo mujhe chhoḌ ke chal de kahīñ aisā hī na ho
us ke milne pe bhī mahsūs huā hai 'sarmad'
us ne dekhā hī na ho maiñ ne bulāyā hī na ho
Top Urdushayar.com