kaun hai kis ne pukārā hai sadā kaise huī
ye kiran tārīki-e-shab se rihā kaise huī
ek ik pal meñ utar kar sochtā rahtā huuñ maiñ
nuur kis kā hai mire ḳhuuñ meñ ziyā kaise huī
ḳhvāhisheñ aa.eñ kahāñ se kyuuñ uchhaltā hai lahū
rut harī kyūñkar huī pāgal havā kaise huī
us ke jaane kā yaqīñ to hai magar uljhan meñ huuñ
phuul ke hāthoñ se ye ḳhush-bū judā kaise huī
vo machā hai ġhul ki barham ho ga.ī haiñ sūrateñ
kaun kis kis se ye pūchhegā ḳhatā kaise huī
jism o jaañ kā fāsla hai hāsil-e-gard-e-safar
justuju-e-zindagī terā patā kaise huī
hañs diyā thā sun ke vo 'sarmad' bas itnā yaad hai
baat us ke sāmne lekin adā kaise huī