Sarmad Sahbai

sar jhuka leta tha pahle jis ko akasr dekh kar

Sarmad Sahbai

1945
sar jhukā letā thā pahle jis ko akasr dekh kar
aaj pāgal ho gayā us ko barābar dekh kar
ḳhvāhishoñ meñ bah gayā kamzor miTTī kā hisār
jism qatre meñ simaT aayā samundar dekh kar
sochtā huuñ raat ke andhe safar ke moḌ par
chāñd ghabrāyā to hogā ḳhālī bistar dekh kar
aañkh khulte hī har ik lamhe meñ merā aks thā
maiñ bikhar jaatā huuñ is khiḌkī ke bāhar dekh kar
tū hī utregā ḳharāboñ meñ farāz-e-arsh se
ham to behis ho chuke haiñ ab ye manzar dekh kar
chāñd takne kī tamannā le ke vāpas aa gayā
dūsroñ ke ghar ko apnī chhat se uupar dekh kar
ab to muḌ kar bhī kisī āvāz ko suntā nahīñ
jā-ba-jā bikhre hue saḌkoñ pe patthar dekh kar
mujh ko 'sarmad' apnī bhī pahchān tak baaqī nahīñ
shaḳhs ik apne hī jaisā apne andar dekh kar
Top Urdushayar.com