Sarmad Sahbai

dam junun ki had-e-intiha pe Thahra hai

Sarmad Sahbai

1945
dam junūñ kī had-e-intihā pe Thahrā hai
ye merā dil hai abhī ibtidā pe Thahrā hai
usī ke lams se āb-o-havā badaltī hai
tamām manzar-e-jāñ ik adā pe Thahrā hai
kanār-e-kun se pare hai kahīñ vajūd apnā
ye kārvāñ to ġhubār-e-sadā pe Thahrā hai
kuchh aur der numā.ish hai shor-o-shar kī yahāñ
ye ik habāb hai mauj-e-fanā pe Thahrā hai
shuā-e-sub.h bun-e-gosh meñ utartī hai
zavāl-e-mehr ki dast-e-hinā pe Thahrā hai
shab-e-siyāh sar-e-ḳhāl meñ simaTtī hai
sitāra TuuT ke band-e-qabā pe Thahrā hai
nafas nafas meñ bhaḌaktī hai dil kī lau 'sarmad'
ajab charāġh hai ye bām-e-hū pe Thahrā hai
Top Urdushayar.com