Sarmad Sahbai

kis shaKHs ki talash mein sar phoDti rahi

Sarmad Sahbai

1945
kis shaḳhs kī talāsh meñ sar phoḌtī rahī
sunsān jañgaloñ meñ havā chīḳhtī rahī
māthe pe dhuul haath meñ kāñTe liye hayāt
sahrā se ḳhushbuoñ kā pata pūchhtī rahī
dil bujh gayā to raat kī sūrat thī zindagī
jab tak ye ik charāġh rahā raushnī rahī
maiñ aaj bhī na us se koī baat kar sakā
lafzoñ ke pattharoñ meñ tamannā dabī rahī
sunsān rāstoñ pe bhaTaktī thī chāñdnī
shab bhar na jaane kis ke liye jāgtī rahī
vo peḌ jo harā thā bahāroñ ke ba.ad bhī
hairat se us ko zard havā dekhtī rahī
sūraj na koī merī galī meñ utar sakā
shab bhar mire makān kī khiḌkī khulī rahī
Top Urdushayar.com