lahū ko pālte phirte haiñ ham hinā kī tarah
badal ga.e haiñ mazāmīñ tirī vafā kī tarah
ham aitabār-e-vafā kā gumāñ kareñ bhī to kyā
vo aaj sūrat-e-gul haiñ to kal sabā kī tarah
use to sañg-e-ra.ūnat ne kar diyā ghāyal
maiñ TuuT TuuT gayā shīsha-e-anā kī tarah
jhaTak ke le gayā bhīgī rutoñ ke imkānāt
nikal gayā mire sahrā se phir havā kī tarah
kabhī khule bhī dar-e-mustajāb-e-chāra-garāñ
bahut dinoñ se tahī-dast huuñ duā kī tarah
asā chhinā hai to kaasa bhī le uḌā koī
navā navā huuñ sar-e-shahr-e-jāñ-e-gadā kī tarah
lagī hai shahr meñ ik bhiiḌ marne vāloñ kī
ye kis ne Daalī hai maqtal meñ ḳhūñ-bahā kī tarah
kahīñ to us ke marāsim meñ jhol thā tāriq
vagarna ham se na miltā vo āshnā kī tarah