ruḳh-e-bahār pe aks-e-ḳhizāñ bhī kitnī der
muḳhālifat pe tulā āsmāñ bhī kitnī der
kisī kā naam kisī kā nishāñ bhī kitnī der
ho jism ḳhaak to phir ustuḳhvāñ bhī kitnī der
shikast-o-reḳht kī is manzil-e-pareshāñ meñ
yaqīñ kī umr bhī kitnī gumāñ bhī kitnī der
bañdhā hai ahd jo teġh-o-gulū ke beach to phir
laraztī kāñptī nannhī sī jaañ bhī kitnī der
nikal chalo hai abhī sahl rāsta yaaro
ki mehrbāñ hai to ye mehrbāñ bhī kitnī der
barā-e-shab bhī kushāda hai merā darvāza
ki sub.h aa.ī to ye mehmāñ bhī kitnī der
suḳhan-varī na sahī mo.ajiza sahī lekin
ye tarz-e-fikr ye husn-e-bayāñ bhī kitnī der