Nasr Ghazali

wo KHauf-e-jaan tha ki lab kholna gawara na tha

Nasr Ghazali

vo ḳhauf-e-jāñ thā ki lab kholnā gavārā na thā
sadā.eñ sahmī kuchh aisī suḳhan kā yaarā na thā
tamām apne parā.e kaTe kaTe se rahe
chhurī jo chamkī to us ne kise pukārā na thā
ruḳh-e-kamāñ thā udhar tiir kā nishāna idhar
hamārā dost to thā aur magar hamārā na thā
rafū-talab nazar aatā hai dekhiye jis ko
libās-e-jāñ to kabhī itnā paara paara na thā
ḳhudā kare ki rahe mehrbāñ sadā tum par
azīzo vaqt ki ik lamha bhī hamārā na thā
uḌāneñ bharte parindoñ ke par katar Dāleñ
nazar ke sāmne aisā kabhī nazāra na thā
hai duur hadd-e-nazar se to kyā qayāmat hai
hamāre paas thā jab tak vo itnā pyārā na thā
Top Urdushayar.com