vahīñ se had milī hai jā pahuñchtā kū-e-jānāñ tak
rasā.ī sāliko jab aql kar le hadd-e-imkāñ tak
junūñ meñ dast-e-lāġhar kā hai qabza us bayābāñ tak
jahāñ sau manzileñ paḌtī haiñ dāman se garebāñ tak
mire dast-e-junūñ kā zor aur phir zor bhī kaisā
ki hamrāh-e-garebāñ khīñche laatā hai rag-e-jāñ tak
tumheñ to khel thā nazreñ milā kar muñh chhupā lenā
yahāñ nashtar hazāroñ ruk ga.e aa kar rag-e-jāñ tak
kafan meñ koī dekhe aaj un hāthoñ kī majbūrī
rahā karte the gardish meñ jo dāman se garebāñ tak