Badiuzzaman Khawar

kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin

Badiuzzaman Khawar

Ratnagiri, Maharashtra, India

1938
kab bayābāñ raah meñ aayā ye samjhā hī nahīñ
chalte rahne ke sivā dhyān aur kuchh thā hī nahīñ
karb-e-manzil kā ho kyā ehsās in ashjār ko
jin ke saa.e meñ musāfir koī Thahrā hī nahīñ
kis ko batlāte ki aa.e haiñ kahāñ se kaun haiñ
ham faqīroñ kā kisī ne haal pūchhā hī nahīñ
kyā talab kartā kisī se zindagī kā ḳhūñ-bahā
mujrmoñ meñ merā qātil koī niklā hī nahīñ
be-tahāshā pyaar kī daulat luTā.ī umr bhar
dostī kā ham ne kuchh anjām sochā hī nahīñ
ghūmtā paayā gayā thā shahr meñ vo ek din
phir kisī ne tere dīvāne ko dekhā hī nahīñ
dosto 'ḳhāvar' sunā.e kyā tumheñ taaza ġhazal
muddatoñ se us ne koī sher likkhā hī nahīñ
Top Urdushayar.com