Badiuzzaman Khawar

mujhko nahin malum ki wo kaun hai kya hai

Badiuzzaman Khawar

Ratnagiri, Maharashtra, India

1938
mujh ko nahīñ ma.alūm ki vo kaun hai kyā hai
jo saa.e ke mānind mire saath lagā hai
ik aur bhī hai jism mire jism ke andar
ik aur bhī chehra mire chehre meñ chhupā hai
mahtāb to aa.egā na sīḌhī se utar kar
dīvāna kis ummīd pe raste meñ khaḌā hai
milne kī tamannā hai magar us se mileñ kyā
jis shaḳhs kā is shahr meñ ghar hai na patā hai
likhtā huuñ na.ī nazm-o-ġhazal jis ke sabab maiñ
vo zauq-e-suḳhan to mujhe virse meñ milā hai
maidāñ meñ chale aao to khul jaa.e ye tum par
kyā shaam kī sarshār havāoñ meñ mazā hai
sochā thā mire saath chalegā jo safar meñ
ghar par vo mirā ḳhvāb-e-hasīñ chhūT gayā hai
ham 'mīr' kā dīvān the kyā fahm pe khulte
aḳhbār samajh kar hameñ logoñ ne paḌhā hai
kahte haiñ ki us shahr meñ hai dhuum hamārī
dekhā hai kisī ne na jahāñ ham ko sunā hai
bāhar se koī aaj to 'ḳhāvar' ko pukāre
kamre meñ bahut roz se vo band paḌā hai
Top Urdushayar.com