Badiuzzaman Khawar

mahsus ho raha hai jo gham meri zat ka

Badiuzzaman Khawar

Ratnagiri, Maharashtra, India

1938
mahsūs ho rahā hai jo ġham merī zaat kā
sach pūchhiye to dard hai vo kā.enāt kā
ghar kī ghuTan se duur nikal jaa.e aadmī
saḌkoñ pe ḳhauf ho na agar hādsāt kā
apne badan ko aur thakāo na dosto
Dhal jaa.e din to bojh uThānā hai raat kā
ik dūsre ko zahr pilāte haiñ log ab
bātoñ meñ shahd ghol ke qand-o-nabāt kā
har shaḳhs tere shahr meñ mujrim banā huā
phirtā hai DhūñDhtā huā rishta najāt kā
is meñ kisī kā aks na chehra dikhā.ī de
dhuñdlā gayā hai aa.ina 'ḳhāvar' hayāt kā
Top Urdushayar.com