jale haiñ dil na charāġhoñ ne raushnī kī hai
vo shab-parastoñ ne mahfil meñ tīrgī kī hai
hadīs-e-zulm-o-sitam hai hanūz nā-gufta
hanūz mohr zabānoñ pe ḳhāmushī kī hai
us ek jaam ne saaqī kī jo atā Thahrā
sukūñ diyā hai na kuchh dard meñ kamī kī hai
hameñ ye naaz na kyuuñ ho ki nai-navāz haiñ ham
hamāre hoñToñ ne ījād naġhmagī kī hai
chaman meñ sirf hamīñ rāzdāñ haiñ kāñToñ ke
guloñ ke saath basar ham ne zindagī kī hai
firāq-e-yār ne baḳhshī hai vasl kī lazzat
ḳhayāl-e-yār ne zulmat meñ raushnī kī hai
haiñ jis kī diid se mahrūm aaj tak 'ḳhāvar'
usī kī ham ne tasavvur meñ bandagī kī hai