raushnī hī raushnī hai shahr meñ
phir bhī goyā tīrgī hai shahr meñ
roz-o-shab ke shor-o-ġhul ke bāvajūd
ik tarah kī ḳhāmushī hai shahr meñ
rail kī paTrī pe so jaate haiñ log
kitnī āsāñ ḳhud-kushī hai shahr meñ
jo imārat hai vo sar se paañv tak
ishtihāroñ se sajī hai shahr meñ
gaañv chhoḌe ho chukī muddat magar
'ḳhāvar' ab tak ajnabī hai shahr meñ