jāgtī haqīqat tak rāsta hai ḳhvāboñ kā
darmiyāñ mire un ke fāsla hai ḳhvāboñ kā
ek shab ke TukḌoñ ke naam muḳhtalif rakhe
jism-o-rūh kā bandhan silsila hai ḳhvāboñ kā
dekheñ is kashākash kā iḳhtitām ho kab tak
jāgne kī ḳhvāhish hai hausla hai ḳhvāboñ kā
apnī apnī ta.abīreñ DhūñDhtā hai har chehra
chehra chehra paḌh liije tazkira hai ḳhvāboñ kā
nashshe kā ye aalam hai sach hī sach lage sab kuchh
zindagī kī sahbā hai mai-kada hai ḳhvāboñ kā
gard-e-rāh kī sūrat saañs saañs hai ai 'nūr'
mīr-e-kārvāñ maiñ huuñ qāfila hai ḳhvāboñ kā