hairāñ nahīñ haiñ ham ki pareshāñ nahīñ haiñ ham
is par bhī shākī-e-ġham-e-daurāñ nahīñ haiñ ham
shikva zabāñ pe laa.eñ vo insāñ nahīñ haiñ ham
tere sitam-ba-ḳhair pareshāñ nahīñ haiñ ham
ḳhaak apnī ḳhāk-e-kūcha-e-jānāñ meñ jā milī
ehsānmand-e-gor-e-ġharībāñ nahīñ haiñ ham
āñkhoñ meñ ashk daaġh jigar meñ laboñ pe aah
sab kuchh hai paas be-sar-o-sāmāñ nahīñ haiñ ham
gulhā-e-ashk-e-ḳhūñ se hai dāman bharā huā
kis ne kahā ki ḳhuld-ba-dāmāñ nahīñ haiñ ham
ham se gurez ham se ye be-e.atinā.iyāñ
ai dost bul-havas kā to armāñ nahīñ haiñ ham
hasrat jo aa ga.ī vo nikal hī nahīñ sakī
vā ho sake jo 'abr' vo zindāñ nahīñ haiñ ham