Begam Lakhnavi

barson gham-e-gesu mein giraftar to rakkha

Begam Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785
barsoñ ġham-e-gesū meñ giraftār to rakkhā
ab kahte ho kyā tum ne mujhe maar to rakkhā
kuchh be-adabī aur shab-e-vasl nahīñ kī
haañ yaar ke ruḳhsār pe ruḳhsār to rakkhā
itnā bhī ġhanīmat hai tirī taraf se zālim
khiḌkī na rakhī rauzan-e-dīvār to rakkhā
vo zab.h kare yā na kare ġham nahīñ is kā
sar ham ne tah-e-ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār to rakkhā
is ishq kī himmat ke maiñ sadqe huuñ ki 'begam'
har vaqt mujhe marne pe tayyār to rakkhā
Top Urdushayar.com