na ho marzī ḳhudā kī to kisī se kuchh nahīñ hotā
jo chāhe aadmī to aadmī se kuchh nahīñ hotā
kahāñ ke dost kaise aqrabā jab vaqt paḌtā hai
musībat meñ kisī kī dostī se kuchh nahīñ hotā
amal kī zindagānī dar-haqīqat zindagānī hai
jiye jaao to ḳhālī zindagī se kuchh nahīñ hotā
ajal aa.egī jaañ jā.egī ik sā.at-muayyan par
azīz-o-aqribā kī pairvī se kuchh nahīñ hotā
adab ke qadr-dāñ bazm-e-adab se uThte jaate haiñ
lo rakkho shā.irī ab shā.irī se kuchh nahīñ hotā
mirī hālat ye kuchh maḳhsūs dil bechain haiñ lekin
ye mushkil hai kisī kī bekalī se kuchh nahīñ hotā
'safīr' is zindagī meñ vaqt bhī tevar badaltā
na ghabrāo kisī kī dushmanī se kuchh nahīñ hotā