paiham udāsiyoñ se bayābāñ hai zindagī
dil meñ bahār ho to gulistāñ hai zindagī
ai intihā-e-kashmakash-e-shaiḳh-o-barhman
hindū hai zindagī na musalmāñ hai zindagī
be-chainiyoñ meñ ġharq hai sarmāya-e-hayāt
tābīr-hā-e-ḳhvāb-e-pareshāñ hai zindagī
hai maut iḳhtitām pareshāniyoñ kā naam
jab tak ye zindagī hai pareshāñ hai zindagī
ġhāfil nahīñ to kyuuñ nahīñ anjām par nazar
har lahza har-nafas jo gurezāñ hai zindagī
haiñ muḳhtalif fasāna-e-hastī kī surḳhiyāñ
pinhāñ kahīñ kahīñ pe numāyāñ hai zindagī
nazzāra-e-jamāl se ġhash huuñ maiñ ai 'safīr'
behosh mujh ko dekh ke hairāñ hai zindagī