ye lau kaisī hai jo ik saañs bhī maddham nahīñ hotī
bhulāne par bhī zālim yaad us kī kam nahīñ hotī
ye matlab-āshnā duniyā ye zālim bevafā duniyā
sharīk-e-aish kar liije sharīk-e-ġham nahīñ hotī
adam ke jaane vaale qāfile din-rāt chalte haiñ
magar is anjuman kī dilkashī kuchh kam nahīñ hotī
na pūchh ai ham-nashīñ rūdād-hā-e-shām-e-ġham ham se
qayāmat kī sahar hotī hai shām-e-ġham nahīñ hotī
bhulāyā hai mujhe tū ne tirī barham-mizājī ne
magar bedard terī yaad phir bhī kam nahīñ hotī
nahīñ vāqif tū ai dil ātish-e-soz-e-mohabbat se
ye daulat jis qadar aatī hai ghar meñ kam nahīñ hotī
'safīr' ab tak to rūdād-e-mohabbat ḳhaam hai terī
abhī to aañkh bhī fart-e-alam se nam nahīñ hotī