dil kī māyūs tamannāoñ ko mar jaane do
dard ko āḳhirī manzil se guzar jaane do
maiñ ne kab sāġhar-o-sahbā se kiyā hai inkār
nashsha-e-bāda-e-hastī to utar jaane do
jis kī ai ahl-e-chaman kī hai lahū se ta.amīr
ab vo shīrāza-e-gulshan na bikhar jaane do
chaar tinkoñ kī bhī ta.amīr hai koī ta.amīr
fasl-e-gul aa.egī rakh leñge bikhar jaane do
lazzat-e-ġham se taḌapne meñ maza aatā hai
lazzat-e-ġham se tabī.at mirī bhar jaane do
inqalāb aa.egā koī ki bahār aa.egī
ḳhāl-o-ḳhad chehra-e-gītī ke nikhar jaane do
ham se badle hue tevar haiñ zamāne ke 'safīr'
us ne dekhī hai hamārī bhī nazar jaane do