Mohammad Abbas Safiir

aapko gardish-e-ayyam se Dar lagta hai

Mohammad Abbas Safiir

aap ko gardish-e-ayyām se Dar lagtā hai
aur hameñ ishq ke anjām se Dar lagtā hai
chashm-e-sāqī ke ishāre meñ nihāñ kyā shai thī
hasrat-e-bāda-e-gulfām se Dar lagtā hai
zer-e-lab un ke tabassum se sukūn maañg to luuñ
apnī hī jur.at-e-nākām se Dar lagtā hai
naam jo āTh-pahr vird-e-zabāñ rahtā thā
ab ye vahshat hai usī naam se Dar lagtā hai
hazrat-e-ḳhizar se thī rāhbarī kī ḳhvāhish
ab usī ḳhvāhish-e-nākām se Dar lagtā hai
manzileñ ishq kī be-ḳhauf-o-ḳhatar tai kiiñ haiñ
ab ye aalam hai ki har gaam se Dar lagtā hai
kyuuñ vazīfa sahar-o-shām kiyā tark 'safīr'
kyuuñ ḳhyāl-e-sahr-o-shām se Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com