Mohammad Abbas Safiir

baDi ibrat ki manzil hai zamin gor-e-ghariban ki

Mohammad Abbas Safiir

baḌī ibrat kī manzil hai zamīñ gor-e-ġharībāñ kī
yahāñ apnī haqīqat par nazar paḌtī hai insāñ kī
yahī dhun thī kahīñ merā dil-e-gum-gashta mil jaa.e
isī vahshat meñ barsoñ ḳhaak chhānī kū-e-jānāñ kī
jahāñ nabzeñ rukīñ dil sard ho do hichkiyāñ aa.iiñ
samajh liije ki manzil aa ga.ī gor-e-ġharībāñ kī
na jā.egā mere dil se ḳhayāl-e-abrū-e-dil-bar
ki teġhoñ hī ke saa.e meñ to hai jannat musalmāñ kī
fanā-e-ishq ho kar zinda-e-jāved hotā hai
miTā kar dekhiye hastī nahīñ miTtī hai insāñ kī
yahāñ rone se ho maqsūd hāsil ġhair-mumkin hai
chalo ab sham.eñ bhī bujhne lagīñ gor-e-ġharībāñ kī
'safīr' ik ḳhvāb thī ye chand roza zindagī apnī
ajal se mil ga.ī ta.abīr is ḳhvāb-e-pareshāñ kī
Top Urdushayar.com