Mohammad Abbas Safiir

un ke jalwe sahar-o-sham tak aa pahunche hain

Mohammad Abbas Safiir

un ke jalve sahar-o-shām tak aa pahuñche haiñ
mere āġhāz ab anjām tak aa pahuñche haiñ
hazrat-e-ḳhizr pareshāñ na ho ārām kareñ
ham bhī ab manzil-e-ārām tak aa pahuñche haiñ
tohmat-e-ishq meñ ham aaj akele to nahīñ
vo bhī ab markaz-e-ilzām tak aa pahuñche haiñ
mai-kasho muzda-e-mastī ki janāb-e-vā.iz
baḌh ke ab tazkira-e-jām tak aa pahuñche haiñ
us ko merāj-e-vafā kyuuñ na kahūñ jab akasr
bil-irāda vo mire naam tak aa pahuñche haiñ
ye mirā zabt ki maiñ apnī jagah huuñ mohtāt
dar-haqīqat mujhe paiġhām tak aa pahuñche haiñ
dekh kar tañg-dilī bazm meñ saaqī kī 'safīr'
riñd bhī jur.at-e-nākām tak aa pahuñche haiñ
Top Urdushayar.com