Mohammad Abbas Safiir

ulfat ho to ulfat ke sahaare bhi bahut hain

Mohammad Abbas Safiir

ulfat ho to ulfat ke sahāre bhī bahut haiñ
āñkhoñ meñ mohabbat ke ishāre bhī bahut haiñ
himmat hai to māyūs na ho Dūbne vaale
tūfān haiñ maujoñ ke sahāre bhī bahut haiñ
ai jalva-e-rañgīñ ke ziyā dekhne vaalo
hoñ aañkh agar un ke nazāre bhī bahut haiñ
apnoñ ne to me.ār-e-vafā hī na batāyā
is raah meñ ehsān tumhāre bhī bahut haiñ
jī bhar ke zarā dekh to luuñ duur se gul-rañg
saaqī mujhe itne hī sahāre bhī bahut haiñ
us bazm kī rañgīniyāñ haiñ diid ke qābil
ik chāñd agar hai to sitāre bhī bahut haiñ
hai kaun 'safīr' aisā jo ban jaa.e sahārā
dil toḌne vaale to hamāre bhī bahut haiñ
Top Urdushayar.com