Shabbir Naqid

main ratjagon ka safir Thahra tha kitni raaten guzar aaya

Shabbir Naqid

Taunsa Sharif, Punjab, Pakistan

1976
maiñ ratjagoñ kā safīr Thahrā thā kitnī rāteñ guzār aayā
riyāz thā bā-rusūḳh merā mire suḳhan meñ nikhār laayā
koī bhī hālat nahīñ davāmī koī bhī sūrat nahīñ mudāmī
hayāt apnī hai vo ḳhazāna nahīñ hai jis meñ qarār maayā
na mujh pe lutf-e-sahar huā hai na mujh pe vā koī dar huā hai
na maiñ ne dekhī hai rut suhānī na mujh pe abr-e-bahār chhāyā
jise maiñ samjhā thā yaar apnā jise kahā ġham-gusār apnā
banāyā thā ham-jalīs jis ko sitam usī ne hazār Dhāyā
jo maiñ ne chheḌā hai raag 'nāqid' vo raag be-vaqt kā nahīñ hai
sahar ko chheḌī hai bhairavī to basant rut meñ malār gaayā
Top Urdushayar.com