Nazeer Nazar

ye kaba ye kashi haram dekhte hain

Nazeer Nazar

Jethwar, Bihar, India

1985
ye ka.aba ye kāshī haram dekhte haiñ
ki apnā ḳhudā tujh meñ ham dekhte haiñ
zamāne ke sab ḳhūbsūrat nazāre
tumhārī hī āñkhoñ se ham dekhte haiñ
nahīñ kuchh bharosa hameñ agle pal kā
nazar bhar ke tum ko sanam dekhte haiñ
tirī intizārī se uktā gayā dil
tirī raah muddat se ham dekhte haiñ
yahī nasl-e-nau kā tarīqa hai logoñ
alag zāviye se qalam dekhte haiñ
hamārī ġhazal ho ga.ī kahkashāñ na
jahāñ tak sitāroñ ko ham dekhte haiñ
ġhazal le rahī hai na.ī ek karvaT
ye 'dushyant' 'ġhālib' adam dekhte hai
Top Urdushayar.com