Nazeer Nazar

agar wo hadisa phir se hua to

Nazeer Nazar

Jethwar, Bihar, India

1985
agar vo hādisa phir se huā to
maiñ tere ishq meñ phir paḌ gayā to
ki us kā rūThnā bhī lāzmī hai
manā lūñgā agar hogā ḳhafā to
mirī uljhan sulajhtī jā rahī hai
dikhāyā hai tumhī ne rāsta to
yaqīnan rāz-e-dil maiñ khol dūñgā
diyā apnā jo us ne vāsta to
chalo kuchh der ro leñ saath mil kar
koī lamha ḳhushī kā mil gayā to
tujhe mahfūz kar luuñ zehn-o-dil meñ
milā hai tū kahīñ phir kho gayā to
nayā rishta nibhāne kī talab meñ
agar TuuTā purānā rābta to
kaleje se lagā kar rakhte ham bhī
hameñ vo raaz apne sauñptā to
'nazar' tum zindagī samjhe ho jis ko
faqat paanī kā ho vo bulbula to
Top Urdushayar.com