Nazeer Nazar

churae nazren kabhi muD ke dekhta bhi hai

Nazeer Nazar

Jethwar, Bihar, India

1985
churā.e nazreñ kabhī muḌ ke dekhtā bhī hai
ki tiir tirchhī nigāhoñ ke pheñktā bhī hai
ajiib shaḳhs hai likh kar phir apne dil kā varaq
na jaane kaun sī vahshat meñ moḌtā bhī hai
tum is pe chal ke mirī zaat meñ chale aao
ye pul-sirāt tumhāre liye khulā bhī hai
samajh ke soch ke aanā ki is mohabbat meñ
jahāñ sukūn hai is meñ to rat-jagā bhī hai
maiñ is haqīr ko āḳhir ye kaise samjhā.ūñ
faqat ḳhatā hī nahīñ ishq mo.ajiza bhī hai
maiñ jis ko maar ke zinda bhī rah nahīñ saktā
vahī zamīr hai merā vahī ḳhudā bhī hai
baḌe jatan se milā hijr-e-dā.imī mujh ko
yahī maraz hai mirā aur yahī davā bhī hai
bhale zamāne ne bhar dī hoñ talḳhiyāñ mujh meñ
mirī zabān pe urdu kā zā.iqa bhī hai
baḌe hī ġhaur se suntā hai saare sher magar
ġhalat kahan pe mujhe baḌh ke Toktā bhī hai
Top Urdushayar.com