vo sher sun ke mirā ho gayā divāna kyā
maiñ sach kahūñgā to mānegā ye zamāna kyā
kabhī to aanā hai duniyā ke sāmne us ko
ab us ko DhūñDhne dair-o-haram meñ jaanā kyā
sunā hai kaam chalāte ho tum bahānoñ se
udhār doge mujhe bhī koī bahāna kyā
tumhārī yādoñ kī garmī hai sard rātoñ meñ
lihāf aise meñ ab oḌhnā bichhānā kyā
jalegā jitnā bhī duniyā ko raushnī degā
charāġh-e-ilm-o-hunar hai ise bujhānā kyā
tabāh karne pe aa.e to phir nahīñ suntī
vo narm-rau hai nadī kā magar Thikāna kyā