jiit kar bhī phir se haarī zindagī
pūchhiye mat kyuuñ guzārī zindagī
ik mahājan sab ke uupar hai khaḌā
jis ne ham ko dī udhārī zindagī
chunā katthā lag rahā hai aa.e din
paan biiḌī aur supārī zindagī
ik taraf mahmūd sā andāz hai
ik taraf mīnā-kumārī zindagī
ho ga.ī hai is 'hanī' se bor jab
phir to bas 'rāhat' pukārī zindagī
chain kī phir niiñd aa.ī qabr meñ
apne tan se jab utārī zindagī