Tiis ik uTThe badan meñ jvaar palnā chāhiye
aap ke siine meñ ik sañgrām chalnā chāhiye
ham banā.eñge dobāra sone kī chiḌiyā ise
is na.ī ummīd kā sūraj nikalnā chāhiye
ai siyāsat ho mubārak tū ne ye batlā diyā
bhaa.ī ko bhaa.ī se kaise duur chalnā chāhiye
kyā kahā tum ne tumheñ ye rañg bhāyā hī nahīñ
tum musavvir ho tumheñ har rañg phalnā chāhiye
thī shahīdān-e-vatan kī ik zarā sī aarzū
aur vo thī desh ko aage nikalnā chāhiye
ab to lagtā hai ki ham ne koshisheñ be-kār kiiñ
apnī zid ye thī ki har sāñche meñ Dhalnā chāhiye
phir vahī pāchak kī golī ber vo jāmun ke din
kyā tumheñ lagtā nahīñ bachpan meñ chalnā chāhiye
ik diyā ho jis meñ ilm-o-dīñ hunar kā tel ho
ho charāġh aisā to phir ghar ghar meñ jalnā chāhiye