ban ke ik misra-e-namnāk nazar tak pahuñchā
maujzan ishq mirā arsh-o-qamar tak pahuñchā
kis tarah bhūlūñ batā ḳhauf se jarjar āñkheñ
dekhte dekhte paanī mire sar tak pahuñchā
ishtihāroñ meñ hī gum ho ga.ī kul āvāzeñ
sab ne bas dekhā sunā kaun ḳhabar tak pahuñchā
hukmarānoñ ko faqat vote se matlab varna
kis ne muflis kī sunī kaun idhar tak pahuñchā
tum se kahte na bane ham ko pata hai vo shai
jazba-e-ishq thā hoñToñ se jigar tak pahuñchā
us ke jazboñ kī badaulat hī to ginnā sīkhe
vo ḳhalāoñ se laḌā shunya bashar tak pahuñchā
dil kā sab haal bayāñ kar ga.iiñ muḳhbir āñkheñ
rog paalā thā kabhī aaj asar tak pahuñchā
aap par khul na sakā apnī tabī.at kā rumūz
aur vo shaḳhs to imkān-e-bashar tak pahuñchā