Jawaz Jafri

ada zaban se harf-e-nahin ziyaada hua

Jawaz Jafri

1964
adā zabān se harf-e-nahīñ ziyāda huā
isī pe qatl mirā saarā ḳhānvāda huā
talab ne ziin sajā.ī kiran ke ghoḌe par
kabhī jo sair-e-mah-o-mahr kā irāda huā
hamīñ ne jast bharī vaqt ke samundar meñ
hamīñ se dāman-e-arz-o-samā kushāda huā
adū ne luuT lī maqtal meñ jab mirī poshāk
to merā ḳhuun mire jism kā libāda huā
adab kā ziina milā ziist kā qarīna milā
kahāñ kahāñ na tire ġham se istifāda huā
faras ko duur kiyā sar se taaj utaar diyā
tumhāre shahr meñ pahuñchā to maiñ piyāda huā
meñ dam-ba-ḳhud huuñ mire sar pe sā.ebān-e-falak
baġhair chob ke kyūñ-kar hai īstāda huā
Top Urdushayar.com