Jawaz Jafri

ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath

Jawaz Jafri

1964
ab ke maidān rahā lashkar-e-aġhyār ke haath
girvī us paar paḌe the mire sālār ke haath
zehn is ḳhauf se hone lage banjar ki yahāñ
achchhī taḳhlīq par kaT jaate haiñ me.amār ke haath
ab sar-e-qarya-e-be-dast paḌā hai kashkol
roz kaT jaate the is shahr meñ do-chār ke haath
luuT kuchh aisī machī shahr kā dar khulte hī
har taraf se nikal aa.e dar-o-dīvār ke haath
ham sar-e-shāḳh-e-sināñ qarya-ba-qarya mahke
ham ne is jañg meñ sar jiit liye haar ke haath
sāya-sozī meñ to ham log the sūraj ke halīf
ab hadaf Thahre ki jab jal ga.e ashjār ke haath
Top Urdushayar.com