kabhī dīvār ko tarse kabhī dar ko tarse
ham hue ḳhāna-ba-dosh aise ki ghar ko tarse
jhuuT bolūñ to chipak jaa.e zabāñ taalū se
jhuuT likkhūñ to mirā haath hunar ko tarse
qarya-er-ei-nāma-barāñ ab ke kahāñ jaa.eñ ki jab
tire pahlū meñ bhī ham us kī ḳhabar ko tarse
sab ke sab tishna-e-takmīl haiñ is shahr ke log
koī dastār ko tarse koī sar ko tarse
shahr-e-be-mehr meñ zinda haiñ tire bin jaise
dhuup ke shahr kā bāshinda shajar ko tarse