ġhairat-e-ishq kā ye ek sahārā na gayā
laakh majbūr hue un ko pukārā na gayā
kyā lahū ro.e to aayā hai bahāroñ kā salām
sirf ḳhvāboñ se haqā.eq ko sañvārā na gayā
ma.arka ishq kā sar de ke bhī sar ho na sakā
kaun raahī thā jo is raah meñ maarā na gayā
vo bhī vaqt aatā hai saaqī bhī badal jaate haiñ
mai-kade par kabhī mastoñ kā ijārā na gayā
shauq kī baat kab alfāz meñ Dhal saktī thī
us parī ko kabhī shīshe meñ utārā na gayā
kabhī Takrā diye shīshe kabhī chhalkā diye jaam
rā.egāñ ek bhī saaqī kā ishārā na gayā
aa.ine jitne bhī dekhe vo mukaddar the 'surūr'
jauhar-e-sidq-o-safā phir bhī hamārā na gayā