Aal-e-Ahmad Suroor

fughan-e-dard mein bhi dard ki KHalish hi nahin

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
fuġhān-e-dard meñ bhī dard kī ḳhalish hī nahīñ
diloñ meñ aag lagī hai magar tapish hī nahīñ
kahāñ se laa.eñ vo soz-o-gudāz dil vaale
ki dilbarī kā vo āhañg vo ravish hī nahīñ
haqīqatoñ ke bhī tevar badal to sakte haiñ
hamārī bazm meñ ḳhvāboñ kī vo ḳhalish hī nahīñ
dimāġh kyuuñ na ho sāhil pe sone vāloñ kā
kabhī kabhār jo tūfāñ kī sarzanish hī nahīñ
lubhā.egā use kyā chāñd kā ḳhunuk jaadū
jise nasīb kaḌī dhuup kī tapish hī nahīñ
zamāna qissa-e-dār-o-rasan ko bhuul na jaa.e
kisī ke halqa-e-gesū meñ vo kashish hī nahīñ
ye rañg-o-bū ke tilismāt kis liye haiñ 'surūr'
bahār kyā hai junūñ kī jo parvarish hī nahīñ
Top Urdushayar.com