yuuñ jo uftād paḌe ham pe vo sah jaate haiñ
haañ kabhī baat jo kahne kī hai kah jaate haiñ
na chaTānoñ kī salābat hai na dariyā kā jalāl
log tinke haiñ jo har mauj meñ bah jaate haiñ
ye na.ī nasl hai is vāste ḳhālī ḳhālī
dard jitne haiñ vo bātoñ hī meñ bah jaate haiñ
aamad aamad kisī ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kī hai
peshvā.ī ke liye anjum o mah jaate haiñ
zindagī ban ga.ī dīvānoñ kī ik dauḌ 'surūr'
ham se kitne haiñ jo is dauḌ meñ rah jaate haiñ