bhūkī hai zamīñ bhuuk ugaltī hī rahegī
ye bhuuk mire peT meñ paltī hī rahegī
jīvan bhī mirā dasht hai maskan bhī mirā dasht
hoñToñ pe mire pyaas machaltī hī rahegī
dil meñ nahīñ ab paas rahā chain sukūñ kā
ik aag sī dil meñ hai ubaltī hī rahegī
hastī ke ujaḌne kā bhalā dukh mujhe kyuuñ ho
ye Thokareñ khā khā ke sambhaltī hī rahegī
chehre na.e andāz na.e taur na.e haiñ
duniyā hai ye sau rañg badaltī hī rahegī
mazkūr kareñ kyā dil-e-majbūr kā 'nāqid'
ik huuk hai siine se nikaltī hī rahegī